Jo meri ankho mein yeh sapnay na hotay, Toh anjaan rahi sa phirta hi rahta;
Yu toh sapnay dekhtay hai hajaroo , jo pura karsakay yeh hosla na hota;
Toh sapnay humaray bhi pyassay rah jatay…
Dekhtay hai din kay ujjallay say raat ki gharaiyo tak,
Jo hum bhi unki tarah shayamay-din nihartay;
Toh sapnay humaray bhi pyassay rah jatay…
Jo sath na milta in nayi umeedo aur umango ka,
Yeh bhi agar auro ki tarah waqt par sath chod jatay;
Toh sapnay humaray bhi pyassay rah jatay…
Jo raat aur din may farak kar patay,
Neend kay pahar yu chadar tanay hum bhi kho jatay,
Toh sapnay humaray bhi pyassay rah jatay…
Jo dusro say agay nikalnay wali bheed mai hum bhi kho jatay,
Unki batton kay jaal mai agar hum bhi pao phasatay,
Toh sapnay humaray bhi pyassay rah jatay…
Jo agar, magar ki dagar ko hum bhi thamtay,
Aur kati patang say hum bhi lahratay,
Toh sapnay humaray bhi pyassay rah jatay…
Jo vafaye dosto ka yeh sath na hota,
Choto ka pyar bado ka vishwas na hota,
Toh sapnay humaray bhi pyassay rah jatay…
Note : - Conserve your dreams... Forest can be taken care after... Provide lots of water of efforts to your dreams and watch them, they will start flourishing... :)
©Karan Arora

awesome aroraji...love it..:))
ReplyDelete